AURAT KE LIYE QHAWIND AUR WALEDAIN MAISE KIS KI ITAAT ZYADA ZARURI HAI?











Shaikh ul Islam Ibn Taymiya rehmaullah se darje zail sawal kiya gaya,

“Ek aurat shadi shuda hai aur wo walidain ke hukum se nikal kar qhawind ke hukum me achuki hai, iske liye walidain ki ita’at karna zaruri hai ya apne qhawind ki ita’at karna?”
Shaikh ul Islam Ibn taymiya rehmaullah ka jawab tha, “Shadi ke baad Aurat ka qhawind, aurat ke walidain se biwi ka zyada Malik hai, aur is par apne qhawind ki ita’at zyada wajib hai. Allah subhanhu wa taala ka farman hai,
“Pas nek auratein farmabardaar hai, aur ghair haziry me hifazat karne wali hai,{is liye ke allah ne (inhe) mefuuz rakha}.

Aur Hadees me Nabi kareem ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka farmaan hai, “Duniya behtreen maal wa mataa hai, aur duniya ki sab se behtreen maal wa mataa nek wa saleh aurat hai, jab tum ise dekho to wo tumhe kush kardee, aur jab use hukum doo to wo tumhary ita’at kare, aur jab tum usse ghayab(door safar par) ho to woo aap ke maal aur apni jaan ki hifazat karty hai” aur sahih Abi Hatim me Abu Hurairah r.a. anhu se marwi hai ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya jab aurat apne upar panch namaze farz namaze ada karty ho aur ramzaan ul mubarak ke roze rakhty ho, aur apni sharm gaah ki hifazat kare,aur apne qhawind ki ita’at kare to wo jannat ke jis darwaze se chahe jannat me daqil hogy..

aur Sunan Tirmizi me Umme Salma r.z. se marwi hai ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya,”Jo aurat is halat me faut hui ke uska qhawind uspar raazi tha to wo jannat me daqil hogy”. Ise Tirmizi ne riwayat kia hai aur ise hasan qarar diya hai.

Abu Huraira r.z. bayan karte hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Agar mai kisi ko kisi dusre ke liye sajdah karne ka hukum deta to aurat ko hukum deta ke wo apne qhawind ko sajdah kare”.

Ise Tirmizi ne riwayat kia hai aur ise hasan qaraar diya hai aur Abu Dawood ne darje zail alfaz se riwayat kiya hai. To mai aurton ko hukum deta ke wo apne qhawind ko sajdah kare, kyunki Allah ne in par qhawind ke buhut zyada huquuq rakhe hai. Aur Musnad Ahmed me Anas r.z. anhu se marwi hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, Kisi bhi bashar(insan) ko kisi dusre bashr ke samne sajdah karna sahih nahi hai, aur agar kisi bashr ke samne sajdah karna sahih hota to mai aurat ko hukum deta ke apne qhawind ko sajdah kare kyunki qhawind ka biwi par azeem haq hai, is zaat ki qasam jis ke hath me mery jaan hai agar qawind ke qadm se is ke sar ek zaqhm ho aur us se peem aur khoon ras(nikal) raha ho aur biwi use aage badh kar chaat lee to bhi qawind ka haq adaa nahi kar sakty.

Shaikh ul Islam rahimaullah ne qhawind ki ita’at ki fazeelat wali ahadees bhi naqal ki hai is silsile me ahadees bhut zyada hai jin me se chand ek zail me bayan ki jaaty hai

Zaid bin Sabit bayan karte hai ke Quran majeed me qhawind ko sardaar ka laqab diya gaya hai, aur phir inhone darje zail Quraan bari taala tilawat kiya,

“AUR In Dono Ne Darwaze Ke Paas Apne Sardaar Ko Paya”. Aur Ibn Khattab r.z. kahte hai.

“Nikah ghulami hai, jise tum me se har ek ko dekhna chahiye ke ke wo apni laqt e jigar beti ko kiski ghulami me de raha hai” aur Tirmizi wagera me warid hai ke nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: “Aurton ke sath behtar salook karo, kyunke ye aurten tumhare paas ghulam hai”.

Chunanche aurat apne qawind ke paas ghulam aur qaidi jaisy hai is liye aurat apne qawind ke ghar se qawind ki ijazat ke bagair bahar nahi nikal sakty,chahe aurat ka walid ya walida ya phir koi aur hukum bhi dee to ummat ka muttafiqa faisla hai ke qawind ki ijazat ke bagair ghar se bahar nahi nikal sakti.

Aur agar qhawind apni biwi ko kisi aur jagah muntaqil karna chahe aur upar wajib karde huqooq ki adayegy bhi kare aur biwi ke mutalliq Allah ki hudood ki bhi hifazat kare lekin aurat ka baap apni bety ko isme qhawind ki ita’at se roke to aurat ko apne qhawind ki ita’at karni chahiye baap ki nahi, kyunke is surat me iske walidain is par zulm kar rahe hai, inhe apni bachi ko is tarah ke qawind ki ita’at se rokne ka koi haq hasil nahi.

Is aurat ko bhi haq hasil nahi ke wo qawind ki nafarmai me apni maa ki ita’at kare, ke is se qhula le ya phir jhagde taaki qawind ise Talaq de dee, yani biwi ko haq hasil nahi ke wo nan wa nafqa aur libas wa meher ke mutalliq aisa mutaliba kare jiski bina par qawind ise talaq de dee, agar qawind muttaqi ho aur biwi ke muamilaat me Allah se darne wala ho to biwi ko talaq lene ke mutalliq apne walidain ki ita’at karna halal nahi hogy.

Sunan e Arba’a aur sahih Ibn e Abi Hatim me Saubaan r.z. se hadees marwi hai ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:”Jis Aurat ne bhi apne qhawind se bagair kisi sabaq ke talaq ka mutakiba kia to is par jannat ki khushbu haram hai”. aur ek dusr hadees me hai “Qhula lene wali hi munafiqaat hai”.

Lekin agar iske Walidain ise Allah ki ita’at ka hukum dete hai, masalan namz panchgana (5times) ki pabandi aur sachai ikhtiyar karne aur amanat wa diyanat karne ke sath sath fuzool kharchi se ijtinaab karne ka kahe to ye in ehkaam me shamil hai jo Allah aur iske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka hukum bhi hai, ya phir jis se Allah aur iske Rasoolѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne manaa farmaya hai. Isliye ise bhi usme in ki ita’at karny chahiye chahe ise walidain ke alawa koi dusra bhi ye baate kahe to ise ye manna hogy to phir agar walidain kahe to kaise nahi maanegy?

Aur jab qhawind ise kisi aise kaam se rooke jiska hukum Allah aur iske Rasool ne diya ho ya phir use kisi aise kaam ko sar anjaam dene ka hukum de jis se Allah aur iske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne manaa kia ho to use isme apne qhawind ki ita’at nahi karny chahiye kyunki Nabi kareem ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka farmaan hai
“Allah qhaliq ul mulk ki nafarmani me kisi maqhlooq ki ita’at nahi ki jaa sakty”. Balke agar koi Malik apne naukar aur ghulam ko Allah ki ma’asiyat ka hukum dee to ghulam ko is ma’asiyat me apne malik ki ita’at karni jaayez nahi to fir aurat ko kaise majbuur kia jaa sakta hai ke wo Allah aur iske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki ma’asiyat me apne qhawind ya walidain ki ita’at kare kyunki khair wa bhalai to sirf Allah subhanahu wa ta’ala aur uske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki ita’at wa farmabardary me hai, aur Allah subhanahu wa ta’ala aur uske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki nafarmani wa ma’asiyat me hai sary ki sary burai aur shar hai”.

Majmoo al Fatawa (32/261-264).

Shaikh ul Islam rahimaullah ka mandarje bala ilmi aur mazboot jawab hi kafi hai jis se maqsad poora hojata hai, aapki walida ke liye jayez nahi ke wo aap aur aapki biwi ke ma’abain kharabi aur fitna paida kare, aur is silsile me Aap ke liye iski ita’at karna halal nahi, aur qhawind ka haq aur iski ita’at Aap ki walida ki ita’at se zyada haq rakhty hai.

Biwi ke apne qhawind ki ijazat ke bagair safar karna jayez nahi aur na hi wo kisi aise shaks ko qhawind ke ghar me daqil kar sakty jise qhawind na pasand karta ho, aur upar jo kuch bayan hua hai isme wo qawind ki ita’at chhor kar apni walida ki ita’at nahi kar sakty, kyunke qhawind ki ita’at ka zyada haq hai.