SIRF ALLAH SE HI MADAD KYU??









Abu Dhar(ra) se riwayat hai ki unhone Rasoollullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se suna ki Allah Subhanahu ne farmaya:
“Ai Mere bando maine zulm ko apne upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya… to ek doosre per zulm na kiya karo”
“Ai mere bando tum sab gumraah ho siwa uske jise maine hidayat di.. Tum mujhse hidayat maango mai tumhe hidayat doonga”
“Ai mere bando tum sab bhooke ho siwa uske jisey mai ne khana khilaya…Tum mujhse khana maango.
Mai tumhe khana doonga..”
“Ai mere bando tum sab nange ho siwa uske jisey maine libas pehnaya..Tum mujhse libas maango.
Mai tumhe libas doonga”
“Ai Mere bando tum raat din gunaah karte ho aur main sab gunaahon ko maaf krta hoon…to bakhshish maango mujhse main bakhshunga tumko”
“Ai mere bando tum mera kuch nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho.
Ai mere bando agar tumhare agle aur pichle aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri sultanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum mein agle aur peechle aur admee aur jinnat sab milkar aise ho jaye jaise zameen ka bada badkaar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kami na hoga”
“Ai mere bando agar tumhare agle, pichle aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khade ho phir mujhse maangna shuru kare aur main har ek ko jitna maange de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kam na hoga magar itna jaise dariya mein suyee daal kar nikal lo.”
“Ai mere bando ye tumhare hi aamal hain jinko tumhare liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla doonga… to jo shaksh behtar badla paye use chahiye ki Allah Subhanahu ka shukr kare ki uski kamayee bekar na gayee aur jo bura badla paye to apney hi aapko bura samjhe.”
Hazrat Said Radi Allahu Anhu ne kaha ki Abu Idris jab ye hadith bayan karte to apne ghutno ke bal gir padhte.

Sahih Muslim, Vol-6, 6572.