Chote ka Bade ko Salam karte waqt Jhukna



Mujhe Aehtram me shirk ka mamla bohot Hairan karta hai, humare yahan Rishtedaro ki aadat hai ke chota bade ko Salam karte waqt thoda jhuk kar salam karta hai, aur bada pyar se us k sar par haath rakhta hai. Lekin salam ke waqt koi shaks itna nahi jhukta jitna ek musalman Ruku me jhukta hai. Kya aisa karna Jaiz hai..ya Nahi..??


Jawab:

Kisi ko milte waqt Jhukna, Ruku jitna ya kam, Jayez nahi hai. Chahe Aalim e Deen hi ho ya koi aur shakhs. Shaikh ul Islam Ibn Taimiya r.h. kahte hai:

“Salam karte waqt jhukna manaa hai jaisa ke Tirmidhi ki Hadeeth me bayan hua hai, Sahaba karaam ne Nabi e Kareem ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se daryaft kiye ke agar koi Admi apne bhai se mile to kya wo us ke liye jhuke?
Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaye, “Nahi”.

[Jami` at-Tirmidhi, Chapters on Seeking Permission, Vol. 5, Book 40, Hadith-2728.]

Majmoo‘ al-Fataawa, 1/377.

Aur unhone Farmaya,

“Aur Raha masala ke bade shakhs aur Maqam o Martaba rakhne walo ke samne sar jhukana, ya zameen bosi karna waghaira ki mumaniat me koi ikhtelaf nahi hai balke GhairAllah ke liye to peeth jhukana bhi mana hai. Musnad e Ahmed waghairah me Maaz bin Jabal r.a. se hadeeth marwi hai ke,
Maaz bin Jabal r.a. jab Shaam se wapas aaye to unhone Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko Sajda kiye tab Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne daryaft kiye, “Maâz ye kya hai?”
To Maaz r.a. ne jawab diye, “Aye Allah ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм mai ne Shaam me dekha ke waha ke log apne Padriyo (Priest) aur Rahibo ko Sajda karte hai aur kahte hai unke Ambiya se aisa hi Sabit hai.”
Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Aye Maaz, agar mai Allah ke siwa kisi ko sajde ka hukm deta to Aurto se kahta ke wo apne Shauhar ko Sajda kare kyo ki Khawand ka apni biwi par Azeem haq hai.
Aye Maaz, zara ye batao ke kya agar tum meri qabr ke paas se guzroge to Sajda karoge?”
Maaz r.a. ne farmaya, “Bilkul nahi”.

Nabi saws ne farmaye:” (HA)Tum aisa mat karo.” Ya jaise ke Hadeeth me Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka farman hai.”

khulasa ye hua ke : Qayam o Qauood aur Rukuu o Sujood sirf Khaliq e Samawat o Ard, wahdahu laa shareek ka haq hai aur Allah Subhana o Taala ka khalis Haq ho is me kisi Dusre ka Haq nahi hota.

Majmua al fatawa 27/92,93.

Aur mustaqil Fatawa commitee ke Ulma ka kehna hai:

“Kisi Musalman ya Kafir ko Salam karte waqt jhukna jayz nahi, na to Jism ke uper ke hisse ko aur na sar ko jhukana jayez hai kyu ki jhukna Ibadat ka juz hai aur Ibadat har tarah ki sirf Allah hi ke liye hai.”

Shaykh ‘Abd al-‘Azeez ibn Baaz, Shaykh ‘Abd al-Razzaaq ‘Afeefi, Shaykh ‘Abd-Allah ibn Ghadyaan, Shaykh ‘Abd-Allah ibn Qa‘ood .

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 1/233, 234.

Aur Allah sab se behtar janta hai.