Juma Mubarak Kahna Biddat Kyu Hai ?

Allah ta’ala ne mubarakbaad dene ke tareeqe bataaye hain. Hamen waisa hi karna chahiye…Jaise Eidain Ki mUbarakbaad ke liye dua sikhaayi “Taqabballahi Wa minna Wa minkum” (AL-MUGHNEE 2/259)
Lekin Jumah Ke liye Aisa kuch ni faramaya lihaza ye bidat hai..Jumah Mubarak Sahaba Kiram se hi Saabit ni hai..Quran,Surah Furqan (ayat no 27) me Allah swt kahte hai “Aur us din zalim shaksh apne hath chaba chaba kar kahega ke haye kash ke maine Rasul (saw) ki raah ikhteyar ki hoti”
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki
Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara amal nai hai to wo mardud hai.
Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain:  TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”. 
SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).
JUMUA MUbarak kehna ALLAH ke Rasul s.a.w. se sabit nai hai aur jo kehte hai wo sahih hadith se sabit karke btayen………Upar quran aur ahadith ki roshni se ye pata chala ke apni taraf se koi kam krne me koi fayeda nahi hai aur jo aisa krta h wo qayamat k din ruswa hoga ke jo ALLAH ke Rasul saw hame bata k nai gaye humne wo kam kyun kiya.
 -jazakum Allahu khairan