MAAH-E-MUHARRAM (Mauzu W Manghadat Fazail)

*"MAAH-E-MUHARRAM"*
Fazilat aur mauzu wa manghadat hadeesen

⏩ *RASUMAAT-E-MUHARRAM ULAMA-E-ISLAM KI NAZAR MEN-*

👉 *SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHLVI R.A. -* "Ai bani Aadam! tumne islam ko badal dalne wali bahut si rasmen apna rakhi hain. (Maslan) tum 10vi Muharram ko batil qism ke ijtema karte ho. kai logon ne is din ko maatam ka din bana liya hai. halanki Allah taala ki mashiyat se haadse hamesha runama hote hi rehte hain. Agar Hazrat Husain RaziAllahu anhu is din (Mazloom Shaheed ke taur) qatl kiye gae to woh kaun sa din hai jisme koi na koi Allah ka nek banda faut nahi hua? (lekin tajjub ki bat hai) unhone is sanihah shahadat mazloomana khelkood ki chiz bana liya, tumne maatma ko eid ke tyohaar ki tarah bana liya. goya is din zyada khana pina farz hai aur namazon ka tumhe koi khayal nahi" (📓 Al-tafhimatul Ilahiyah, 1/288 tafheem raqam-69)

👉 *HAFIZ IBN KASEER R.A.-* "Yeh rasmen, islam me inki koi zaroorat nahi, agar yeh waqai achi chiz hoti to khairul quroon aur is ummat ke ibtedaai aur behtar log isko zaroor karte, woh iske sabse zyada ahel the (baat yeh hai ki) Ahle sunnat (Sunnat nabwi ki) iqteda karte hain apni taraf se bidaten nahi gadhte" (📓 Al-bidaya Wan-Nihaya-11/271)

👉 *SHAH ISMAIL SHAHEED R.A.-* "Paak wa hind me rafziyon ke zer-e-asar taziya sazi ki jo bidat raaij hai yeh shirk tak pahuncha deti hai kyunki taziye me Husain RaziAllahu anhu ki qabr banai jati hai aur phir usko sajda kiya jata hai aur woh sab kuch kiya jata hai jo but parast apne buton ke sath karte hain aur is lihaz se yeh pure taur par but parasti hai" (📓 Siraat-e-Mustaqeem, Page-59, Az Islami Maheene Page-196)

⏩ *10 MUHARRAM SE MUTALLIQ KUCH JHOOTE AUR MANGHADAT BAYAAN-*

❌ Yahi woh din hai jisme Allah ne Adam A.s. ki tauba qubool ki.

❌ Yahi woh din hai jisme hazrat ibrahim A.s. ko aag se nijaat di gai.

❌ Isi din hi qayamat ayegi.

❌ Jisne Ashoora (10 Muharram) ka roza rakha uske liye Allah ne un 60 saal ki ibadat likh di jisme namaz roze bhi hain.

❌ Jisne Ashoora ka roza rakha use Allah ne 1000 hajiyo aur umrah karne walo ka sawab diya.

❌ Ashoora ke din Allah ne jibreel, farishton, Adam A.s. aur ibrahim A.s. ko paida kiya.

❌ Ashoora ke din hi Allah ne dumba ki soorat me Hazrat ismail A.s. ka fidya diya.

❌ Ashoora ke din firon ko Allah ne darya-e-neel me gharq kiya.

❌ Ashoora ke din jisne ghusl kiya woh marz-e-maut ke siwaye kabhi bimar nahi hoga

❌ Jisne Ashoora ke din 4 rakaat is tarah padhi ki har rakat me surah Fatihah ek martaba aur surah ikhlaas 50 martaba tilawat ki to Allah ne uske maazi (past) wa mustaqbil (future) ke 50-50 saala gunah maaf kar diye.

👉 Yeh saari baten jhooti aur Manghadat hain (📓 Dekhiye Al-Mozuaat Ibn Jozi-2/201,Al-Majrooheen Hafiz ibn Hibban-1/265-266)