Gaush e Azam kise kahte hai? Janiye

*GHAUS-E-AAZAM KISE KEHTE HAIN?*

_Deen-E-Islam ne aqeeda-e-tauheed ke hawaale se yahi taaleem di hai ki Allah ke siwa aur koi madadgaar nahi, nafa wa nuqsan sirf Allah Ta'ala ke hi ikhtiyaar me hai, sirf wahi mushkil kusha wa haajat rawa hai, wahi khaaliq, raaziq hai. misaal ke taur par kuch aayaat pesh ki jaati hain-_

☑ "Aur madad to Allah Ta'ala hi ki taraf se hai jo ghalib wa hikmat wala hai"
*📚(Surah aale imran 3, ayat-126)*

☑"Aur woh apne liye Allah Ta'ala ke siwa koi madadgaar aur himayati nahi payenge"
*📚(Surah Ahazaab 33, Ayat-18)*

☑"Aur tumhare liye Allah ke siwa koi himaayati aur madadgaar nahi"
*📚(Surah Baqrah 2, Ayat-107)*

☑"Agar Allah tumhari madad kare to tum par koi ghaalib nahi a sakta, aur agar woh tumhara sath chhorh de to uske baad kaun hai jo tumhari madad kare? aur Allah hi par bharosa karna chaiye imaan walo ko"
*📚(Surah Aale imran 3, Ayat-160)*

☑"Aur Allah kaafi hai himaayat ke liye Aur Allah kaafi hai madad ke liye"
*📚(Surah Nisa 4, Ayat-45)*

☑"Aur tumhare liye Allah ke siwa koi wali (himaayati) aur madadgaar nahi"
*📚(Surah Tauba 9, ayat-116)*

In aayaat se yeh haqeeat wazeh ho jaati hai ki sirf Allah Ta'ala hi haqeeqi madadgaar, sabse bada madagaar yani "Ghaus-e-Azam" hai jabki deegar bahut si aayaat me na sirf ghairullah ko pukaarne balki use madadgaar samajhne ki bhi nafi ki gai hai aur aisa karne wale ko mushrik, zaalim kaha gaya hai, jaisa ki-

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
Latest