Namaaz e Janaaza






Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Eman ki haalat mein aur sawaab ki niyyat se jo kisi musalmaan ke janaaza ke sath jaata, iske saath rehta, iska janaaza padhta aur isko dafan karke faarigh hota hai to iske liey 2 qiraat sawaab hai. Har qiraat ohad pahaad ke baraabar hai aur jo (sirf) janaaza padh kar waapas aajaata hai iske liey 1 qiraat hai.’

(Bukahri: al Eman 47 – Muslim: al Janaaez 945)

Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Jis musalman ke janaaza mein aise 40 aadmi shaamil ho’n jo Allah ke sath shirk na karte ho’n to Allah Ta’ala is (maiyyat ke haq) mein inki sifaarish qubool karta hai.’

(Muslim: al Janaaez 948)

Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘4 musalman jis musalman ki ta’areef karei’n aur acchi shahaadat dei’n, Allah isko jannat mein daqhil karega.
Ham ne arz kiya: ‘aur 3’? Aap ne farmaya: 3 bhi.
Ham ne arz kiya: ‘aur 2’? Aap ne farmaya: 2 bhi.
Phir ham ne 1 ke bare mein nahi poocha.’

(Bukahri: al Janaaez 1368)

Yahaa’n in musalmano’n ki gawaahi muraad hai jinka aqeeda o amal aur aqhlaaq o kirdaar kitaab o sunnat ke mutaabiq ho.

Namaaz e janaaza padhne ke liey maiyyat ki chaarpaai is tarha rakhei’n ke maiyyat ka sar shimaal (T: North) ki simt aur paou’n Junoob (T: South) ki jaanib ho’n, phir baawazu hokar safei’n baandhei’n.

Anas bin Maalik r.a. ne 1 mard ka janaaz padhaya to wo (iske) sar ke saamne khade hue, phir 1 aurat ka janaaza laaya gaya to wo iske darmiyaan khade hue aur farmaya ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм aisa hi karte the.

(Tirmizee: al Janaaez 1034 – Abu Dawood: al Janaaez 3194) Imam Tirmizee ne ise Hasan kaha.

Phir dil mein niyyat karke dono’n hath kandho’n ya kano’n tak uthaei’n aur phir takbeer keh kar Surah Fatiha padhei’n.
Janaaza Mein Surah Fatiha:

Abu Omaama bin Sahal r.a. se riwayat hai ke namaz janaaza mein sunnat tareeqa ya hai ke pahle takbeer kahi jaae, phir fatiha padhi jaae, phir Nabi e Rahmat par darood aur maiyyat ke liey dua (ki jaae) is ke baad salaam (phera jaae).

(Musannaf Abdur Razzaq: 6428 V3 P489,490) Imam Hafiz ibne Hajar ne ise Saheeh kaha.

Talha bin Abdullah bin Aouf r.a. kehte hain ke main ne Ibne Abbas r.a. ke peeche namaz e janaaz padhi to Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Surah Fatiha padhi aur farmaya: Main ne ye is liey kiya taake tum jaan lo ke ye sunnat hai.

(Bukhari: al Janaaez 1335)

Is se jehri qiraa‐at bhi saabit hui, tajjub hai jo log uth‐te baith‐te ‘Faatiha’ ke naam lete hain wo namaz janaaza mein ise padhte hi nahi.

Talha bin Abdullah r.a. kehte hain ke main ne Ibne Abbas ke peeche namaz janaza padha inho’n ne Surah Fatiha aur 1 aur Surah padhi aur buland awaaz se qira‐at ki hatta ke ham ne suna, jab faarigh hue to farmaya ke ‘ye sunnat aur haq hai’.

(Nasai: al Janaaez 1987 V4 P 74,75) Imam Ibne Turkamaani ne Saheeh kaha.
Namaz e Janaza Ka Padhna Sunnat Hai:

Abu Omaama bin Sahal r.a. se riwayat hai ke namaz e janaza mein sunnat tareeqa ye hai ke Imam pehli takbeer ke baad surah fatiha sirran padhe phir 3 takbeerat kahe aur aaqhri takbeer ke sath salam fera jaae.

(Nasai: V4 P 75) Imam Ibne Hajar ne ise Saheeh kaha.

Buland awaaz se bhi janaza padhaya jaa sakta hai, chunaache Aouf bin Maalik r.a. farmate hain, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne namaz e janaza mein 1 dua padhi jo main ne yaad karli aur main ne tamanna ki kaash ke ye mera janaaza hota.

(Muslim: al Janaaez 963)
Janaaza Ki Takbeerat:

Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke beshak Nabi e Rahmat ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne najjashi ke janaaze mein 4 takbeerat kahi.

(Bukhari: al Janaaez 1333 – Muslim: al Janaaez 951)

Zaid bin arqam namaz e janaza par 4 takbeerat kehte. 1 Janaaza par inho’n ne 5 takbeerat kahie’n aur farmaya ke RasoolAllah is tarha bhi karte the.

(Muslim: al Janaaez 957)

Maloom hua takbeer e oola ke baad Surah Fatiha ka padhna sunnat hai. Surah Fatiha aur doosri Surah padh kar Imam ko doosri takbeer kehni chaahiey. Phir namaz waala Darood Shareef (T: Darood e Ibraheemi) padhei’n. Iske baad teesri takbeer keh kar in duao’n mein se koi dua padhei’n:

Pehli (1) Dua:

Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne 1 janaaza par ye dua padhi:

Allahumaghfir lihaiyyina wa Maiyyitina wa Sagheerinina wa Kabeerina wa Zakarina wa Unthaana wa Shaahidina wa Ghaaibina Allahumma Man Ahyaitahu Minna Faiahyihee A’alal Emani waman Tawaffaitahu Minna Fatawaffahu A’ala Islaami Allahuma Laa Tahrimna Ajrahu walaa Tzillana Ba’adahu –

Aey Allah! Hamaare Zinda Aur Murde Ko, Chote Aur Bade Ko, Mard Aur Aurat Ko, Haazir Aur Ghaib Ko Baqsh de. Aey Allah! Ham Mein Se Jis Ko Tu Zinda Rakhe Ise Eman Par Zinda Rakh Aur Ham Mein Se Jisko Tu Faut Kare Ise Islam Par Faut Kar. Aey Allah! Hamei’n is (Maiyyat) Ke Ajar Se Mehroom Na Rakh Aur Iske Baad Hamei’n Gumrah Na Kar!

(Abu Dawood: al Janaaez 3201) Ise Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha.

Doosri (2) Dua:

Aouf bin Maalik se riwayat hai Rasool Allah ne janaaza mein ye dua padhi:

Allahumgh firlahu Warhamhu wa A’afihi Wa’afu A’anhu Wakrim Nuzulahu wa wasso’o Mudkhalahu Waghsilhu Bilmaai Wathalliji Walbaradi wa Naqqihi Minal Khataaya Kamaa Naqqaitath Thaubal Abyaza Minad Danasi Wabdilhu Daaran Khairam Mindaarihi Wa Ahlan Khairam Min Ahlihi Wazaujan Khairam Min Zaujihi Wadkhilhul Jnnata Wa ai’izhu Min A’azabil Qabri wa A’azabin Naar –

Aey Allah! Ise Maaf Farma, Is Par Raham Farma, Ise A’afiyat Mein Rakh, Is Se Darguzar Farma, Iski Behtareen Mehmaani Farma, Iski Qabar Faaqh Farma, Iske (Gunah) Paani, Olo’n aur Barf Se Dho Daal, Ise Gunaho’n se Is Tarha Saaf Karde Jaise Tu Safed Kapde Ko Mail Se Saaf Karta Hai.Ise Iske (Duniya waale) Ghar Se Behtar Ghar, (Duniya ke) Logo’n se Behtar Log Aur Iski Beewi Se Behtar Beewi Ataa Farma, Ise Bahisht Mein Daqhil Farma, Azaab e Qabar Aur Azaab e Jahannam Se Bachaa.

(Muslim: al Janaaez 963)

Teesri (3) Dua:

Allahumma A’abudka Wabnu Amatika Ihtaaja Ilaa Rahmatika Wa Anta Ghaniyyun A’an A’azaabihi In Kaana Muhsinan Fazid Fee Hasanaatihi Wa In Kaana Musiaan Fatajaawaz A’anhu – Aey Allah! Tera Ye Banda, Teri Bandi Ka Beta, Teri Rahmat Ka Mohtaaj Hai, Tu Ise Azaab Na De Tu Tujhe Kya Parwah. Agar Ye Nek Tha To Iski Nekiyo’n Mein Izaafar Farma Aur Agar Gunahgaar Tha To Ise Maaf Farma.

(Haakim V1 P 359) Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha.
Janaaza Ke Masaael:

Nabi E Rahmat ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Jab tum janaza dekho to khade ho jaaeo aur jo shaqs janaaz ke sath jaae is waqt tak na baithe jab tak janaza na rakha jaae.’

(Bukhari: al Janaaez 1310 – Muslim: 959)

Jab Saad bin Abi Waqqas r.a. ka inteqaal hua to Aisha r.a. ne farmaya ke inka janaaza masjid mein laao take main bhi namaz e janaaza mein shareek ho jaaou’n, logon ne taamul (T: People were confused weather to bring the janaza inside the masjid or not) to inho’n ne farmaya ke Allah ki qasam Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Sohail r.a. aur inke bhai ki namaz janaaza masjid mein padhai.

(Muslim: al Janaaez 973)

Siddiq e Akbar ki namaz janaza bhi masjid mein padhi gai, nez Farooq e Azam ki namaz e janaza Soheb r.a. ne masjid mein padhai.

(Baihaqi: V4 P 52)

Jis janaaze ke sath khilaaf sharai kaam ho’n iske saath jaana mana hai.

Abdullah bin Umar r.a. farmate hain ke ‘Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne is janaze ke sath jaane se mana farmaya jis ke sath noha aur maatam karne waali auratei’n ho’n.’

(Ibne Majah: Al Janaaez 1583)

Mughaira bin Shoba r.a. se riwayat hai Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Sawaar janaaze ke peeche rahe aur paidal chalen waale janaze ke qareeb rehte hue aage, peeche, daaei’n aur baei’n chal sakte hain.

(Abu Dawood: al Janaaez 3180) Imam Tirmizee ne Hasan Saheeh kaha.






Ghaaebaana Namaaz e Janaaza (T: Namaaz e Janaaza in Absence of the maiyyat)



Jis din Najjashi (T: King of Habsha, who accepted Islam) faut hue. Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Sahaaba ke sath nikle, saf bandi ki aur 3 takbeerat ke sath (namaz e janaaza) adaa ki.

(Bukahri: al Janaaez 1254 – Muslim: 951)

Aur Farmaya ke ‘Apne bhai ki namaz e janaza adaa karo, kyou’nke arz e ghair mein faut hue.’

(Ibne Majja: al Janaaez 1537)

Oqba bin Aamir r.a. se riwayat hai ke ‘Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм 1 din baahar nikle aur Ohad ke shohada ke liey is tarha namaz padhi jaise maiyyat par namaz padhte hain.’

(Bukahri: 1343 – Muslim: al Fazaael 2296)

Is se maloom hua ka maiyyat ki ghaebaana namaz janaaza padhi jaa sakti hai Imam Shafai aur Imam Ahmad bin Hambal ka yahi maslak hai.

Magar Sahaaba Ikram aur Tabaeen (rhim) mein ghaebaana namaz janaaza ke mamool na hone ki sab se badi daleel ye hai ke Khulafaa e Rashideen ki ghaaebaana namaz janaaza poori islaami mamlekat mein adaa ki jaati. Magar aisa kisi se bhi manqool nahi hai.

Imam Ibne Qaiyyim, Ibne Taimiyya, Allama Naasiruddin Albaani (rhim) aur muhaqqhiqeen ki 1 jamat ghaaebaana namaz e janaaza adaa karne ke qaael nahi hai.

Haafiz Ibne Abdul Barr farmate hain: ‘Agar ghaaeb par namaz janaaza jaaez hoti to Nabi e Rahmat apne Sahaaba ki ghaaebana namaze janaaza adaa karte isi tarha sharq o gharb (T: east & west) mein rehne waale musalman, khulafaa e rashideen ki bhi ghaaebaana namaz e janaaza padhte, magar aisa kisi se bhi manqool nahi hai.’

Ibne Qaiyyim ne farmaya: ‘Musalmano’n mein bahot se aise log faut hue jo Nabi e Rahmat se ghaaeb the magar Aap ne in mein se kisi ki ghaaebaana janaza adaa nahi ki.’

Allah se dua hai ki wo hame sunnat ke tarike se namaz e janaza padhne aur padhane ki taufeek ata kare aur biddat ke tarike se mahfooz rakhe. aameen.