Muqallid Hazraat se chand sawalat

🔻Kya 1 MUFTI bhi MUQALLID ho sakta hai---
💧Ye baat to samaj me aa sakti hai ke 1 sidha sadha kam-padha likha aam Musalman jo DEEN ka zyada ilm-nahi rakhta ho
aur khud se taheqeeq karne ki bhi salahiyat na rakhta ho
🌻 aur kisi Imam ka ya kisi MUFTI ka ya kisi-Aalim ka Muqallid ban kar uski bataayi hui baato par amal karta rahe.

🎈Lekin jo shakhs -shaikhul-Islam-
🌻ya-MUFTI-
ya-Aalim- ki DEGREE hasil karta hai
🔻aur fir bhi wo kehta hai - MAI BHI kisi na kisi Imam ka MUQALLID HU--
🎈to yeh bat-samaj me aane wali nahi hai.
💧Fir yeh sawalaat paida hote hai---
🌻(1)-Aap ne 7-8 saal Darul Uloom me kya kiya- Kya-
🔻sirf MUQALLID ban ne ki TRAINING li---
🎈(2)-Ek aam Musalanman CHHOTA MUQALLID hai
par aap to BADE MUQALLID ho-----
🌻(3)-Kya aaj ke DARUL ULOOM sirf MUQALLID ki MANUFACTURER COMPANY ban kar reh gaye-hai---
🔻(4)- Kya koi SHAGIRD (student) apne USTAD (teacher) se Aage jakar USTAD se behtar MUFTI ya Aalim nahi ban sakta----
🎈(5)- Kya DARUL ULOOM ke SYLLABUS me ITNI TAQAT-NAHI hai ke 1 KHUDDAR, Sonchne Samajne-wala
aur apne pairon  par khade hone wala MUFTI ya ALEEM ko MANUFACTURING kar sake-----
💧(6)-Kya DEEN ke har masaail me jo SURAJ ki TARAH ROSHAN hai
.kya usme bhi kisi na kisi IMAM ki TAQLEED zaruri hai.----
🌻(7)-ek Aalim maslan jo Imam Abu Hanifa (r) ke zariye se ilm hasil karke wo HANAFI ban gaya
to fir jo AaliM direct QURAN wa SUNNAT se ilm hasil karta hai
to usko kya Laqab- doge --
🔻(8)-Islam ALLAH-aur uske RASOOL(saw) ka DEEN hai
ya-IMAMO ka DEEN hai----
🎈(9)-Log kahte hai ke hamne kaha RASOOLULLAH-(saw) se DIRECT iLM hasil kiya.
Ham tak to in IMAMO aur BUZRUGO ke zariye DEEN pahuncha-- .
💧Sawal yeh hai ke -aap ne bhi to apne Imam se DIRECT iLM hasil NAHI kiya---
🌻Apke aur apke Imam ke bich-me bhi dusre bahot Saare Imam aate hai--
🔻Fir matlab hi NAHI raha un Imamo ki taraf apni NISBAT (Pehchan) karne ka.
🎈Aap kahenge ke Imam zinda nahi hai -
to kya huwa unki TALIMAAT to ZINDA hai--.
💧Achha, fir yeh sawal paida hota hai ke RASOOLULLAH-(s.a.w)- zinde NAHI hai to kya huwa unki TAALIMAAT aur UNKI SHARIYAT to abhi tak ZINDA hai--
🌻To fir kyun na ham apni NISBAT RASOOL ki taraf aur unki SHARIYAT ki taraf kare----
🔻Fir kyun idhar udhar firte ho.
🎈Yahi Sirat-e- MUSTQEEM hai.------ 💧(10)Log in 4 IMAMO ke paida hone se pahle kis IMAM se ilm hasil karte the ----
🌻Us-Imam se ilm HASIL karne wale ka-kya laqab-diya jata tha----
🔻(11)-Imam ABU HANIFA (r) paida hone se HANAFIYO ke Imam kaun the-----
🎈Unka kya LAQAB huwa karta tha----
💧(12)-Jab BARELI aur DEOBANDI 1 hi IMAM ki yani Imam Abu Hanifa (r)ki TAQLEED karte hai
to yeh log 1 dusare ko GUMRAH hone ke fatwe kyun dete hai----
🌻Kya Abu Hanifa (r) ne 2-2 FIQah likhi-----
🔻Ya fir Imam Abu Hanifa ko DHAAL bana kar aaj ke daur ke apne apne DARUL ULOOM ke BUZRUGON ki TAqleed ki jaa rahi hai----
🎈(13.) Kya Islam itna kamzor DEEN hai ke isme sirf -4-Imam hi paida huye ho
jo DEEN ki talimaat ko barqaraar rakh sake
💧 (14). Akhri baat … Ham sab MUSALMANO ka ye Aqeeda hai ke sare ke sare SAHABA JANANTI hai.
Khas kar-ke wo SAHABA jinko Rasoolullah(saw)ne duniya hi me JANNAT ki BASHARAT di thi
wo to kis Imam ke MUQALLID the---
🌻Kyun na HAM jo already JANNATI hai unki taraf apni NISBAT (pahechaan) kare --
🔻kya koi yeh dawe se kahe sakta hai
ke SAHABA ke baad ke saare ke saare log JANNATI hai---
🎈Jin ke bare-me JANNATI hone ka DAWA nahi kiya jaa sakta
fir unki TAQLEED karte huye apni nisbat (pahechan) unke sath kyun jode--
💧Kya SHAKHSIYAT PARSTI ko ISLAM pasand karta hai- -
🌻Kya SAHABA me se koi itna QABIL nahi tha ke unme se kisi 1 ko apna IMAM bana liya jaay--
🔻Allah ne farmaya-A-(Rasool) kehe do ki Allah aur Rasool ki itaa’at-karo.
Fir agar yeh log us se (i’taa’at karne se) muh mod len to Allah KAFIRO ko dost nahi rakhta-
(Surah 03 Imran : Ayat 32)