Jumma Mubarak kahna kaisa hai?

Jumma Mubarak kahna ek biddat hai.

↪Isme koi shak nahi ke Jumah musalmano ke liye Eid ka din hai, jaise ke hadees me aya hai

🔻Ibn ‘Abbaas (Radiallahu’anhu)ne kaha: Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: “jumah eid ka din hai Allah ne musalmano ko hukm kiya, jo koi bi jumah ko aye wo ghusl kare, aur apke pas koi khusbu ho wo lagaye, aur miswaak istemal karen.”
📚(Ibn Maajah, 1098)

🔻 Ibn al-Qayyim (Rahimaullah) ne jumuah ki fazilat ko bataya: Jumah eid ka din jo hafte(week) me ek baar ata hai.
📚(Zaad al-Ma‘aad, 1/369)

Musalmano ki 3 eid hain: Eid al-Fitr aur Eid al-Adha, jo ke ye saal(year) me ek baar ate hain, aur Jumu‘ah jo hafta me ata rahta hai. Dusra ye hai, Musalman ek dusre ko mubarak baad dete hain Eid al-Fitr aur Eid al-Adha me, jaise ke sahaaba se sabit hai saheeh hadees maujood hain. Ab jo jumah mubarak kehna hai, sahaaba jante the Jumah eid ka din hai aur ye hum se zyada ilm rakne wale the jumah ki fazilat ke bare me aur unhone kabhi bhi ek dusre ko jumah mubarak nahi kaha, ab har bhalayi sahaba ko follow karne me hai.Qki wo Rasool Allah(saw) ke sathi the ,wo kisi b din ki afzaliyat ka martabah hmse zyada jante the or hmse zyada izzat dene wale the har eid k din ko ,lekin unhone ne kabi ni aisa kiya,Agar JUMA MUBARAK kahna achha hota to hamre nabi(saw) ne or sahabaao ne zarur kiya hota.Sahabao ne deen ko sabse zada samjha,Qki wo log har chiz Rasool Allah (saw) se samjhte the. LEHAZA JUMAH MUBARAK KAHNA BIDAT HAI.

🔻Shaykh Saalih ibn Fawzaan (Rahimaullah) se puch gaya: kya ye shariat hai jo har jumah messages me bheja jata hai “Jumah mubaarak”?
Shaikh ne kaha: Pehle ke logon me ek dusre ko jumah mubarak kehna paya nahi jata, hum is ko nahi kar sakte kyunki is amal ko pehle ke logon ne nahi kiya.(pahle k logo se murad sahabaao se hai.
📚 (Fatawa, Ajwabat As’ilah Majallat al-Da‘wah al-Islamiyyah.)