Fazail e Syedna Muawiya R.A

*بــســم الله الــرحــمــن الــرحــيــم*

*Syedna  Muawiya (Rdhi  Allahu Anhu) Se Muhabbat:*

*Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah. Tahqeeq wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah. Romanised By: Syed Ibraheem Salafi.*

Visit: www.RomanQuranoHadees.com

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka irshaad hai:
(اوّل جيش مّن أمّتي يغزون البحر قد أو جبوا)
"meri ummat ka pehla lashkar jo samandar mein jihaad karega, un (mujahid-e-deen) ke liye (jannat) wajib hai."
>sahih al bukhaari: 2924.

ye jihaad syedna muawiya bin abi sufiyaan (radhi allahu anhu) (ki khilafat) ke zamane mein huwa tha.
>sahih al bukhaari: 6282,6283.

aur is jihaad mein syedna muawiya (radhi allahu anhu) shamil thhey.
>sahih al bukhaari: 2799,2800.

aap fateh makkah se kuch pehle ya fateh makkah ke din musalmaan huwe.

syedna abdullah bin abbas (radhi allahu anhu) ney farmaya: "main bachchon ke sath khel raha tha ke itne mein Rasoolullah (ﷺ) tashreef laye, main ye samjha ke aap mere liye tashreef laye hai lehaza main darwaze ke peechey chop gaya tou aap ney meri kamar par thapki dey kar farmaya:
(اذهب فادع لي معاوية) و كان يكتب الوحي.. إلخ
"jaou aur muawiya ko bulaou, wo (muawiya radhi allahu anhu) wahee likhte thhey."
>dalail-e-nabuwat lil bihaqi: 243/2 wa sanad hasan.

maloom huwa syedna muawiya (radhi allahu anhu) katib-e-wahee thhey. hafiz ibne aasakir likhte hai:
(خال المؤمنين و كاتب وحي رب العالمين، أسلم يوم الفتح)
"momino ke mamu aur Rabbul Aalameen ki wahee likhne waley, aap fateh makkah ke din musalmaan huwe."
>tareeq-e-damishq 37/62.

jaleel ul qadr tabayee abdullah bin ubaidullah bin abi mulaika al makki rahimahullah se riwayat hai ke muawiya (radhi allahu anhu) ney esha ke baad ek rakat witar padha, phir ibne abbas (radhi allahu anhu) ney farmaya: (أصاب إنه فقيه) "unhune sahih kiya, wo faqih hai." >sahih bukhaari: 3765.

is riwayat ke muqable mein tahawi hanafi ney

مالك بن يحيىٰ الهمداني (و ثقه ابن حبان وحده) ثنا عبدالوهاب بن عطاء قال؛ أنا عمران بن حدير

ki sanad se ek munkar riwayat bayaan ki hai.
>sharah maniyal aasaar 289/1.

ye riwayat sahih al bukhaari ke muqalif hone ki wajhe se mardood hai aur tahawi ka ye kehna ke ibne abbas  (radhi allahu anhu) ney "unhone sahih kiya hai" bataure taqiya kahan tha, ghalat hai.

sahabi abdur rahman bin abi umaira (radhi allahu anhu) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) ney muawiya (radhi allahu anhu) ke liye farmaya tha:
(اللهم اجعله هادياً مهدياً واهدِبه)
"aye Allah esey hadi mehdi bana dey aur eskey zariye lougon ko hidayat dey."
>sunan tirmidhi: 3842 aur kahan: "ye hadees hasan ghareeb hai" at-tariqul kabeer lil bukhaari: 240/5, tabqaat ibne saad 487/7, al aahaad wa masani li ibne abi aasim 358/2 hadees 1129, musnad ahmed 216/4 hadees 17895, wa'huwa hadees sahih.

ye riwayat marwaan bin muhammad wagaira ney saeed bin abdul aziz se bayaan kar rakkhi hai aur marwaan ki saeed se riwayat sahih muslim mein hai. >dekhiye 1043/108 tarqeem darussalaam: 2403.

lehaza sabit huwa ke abdul aziz ney ye riwayat aqtilaat se pehle bayaan ki hai. neez dekhiye as saheeha 1929.

umme alqama (marjaan) se riwayat hai ke muawiya bin abi sufiyaan (radhi allahu anhu) madina tashreef laaye tou (syeda) aisha (radhi allahu anha) se Rasoolullah (ﷺ) ki chadar aur baal mangga. phir unhune chadar ourd li aur baal pani mein dobo kar wo pani piya aur apne jism par bhi dala.
>tareeq-e-damishq 106/62 wa sanad hasan, marjaan wa siqaa al aajali wa ibne hibbaan.

masoor bin mukhrami (radhi allahu anhu) se riwayat hai ke wo ek wafd ke sath muawiya bin abi sufiyaan (radhi allahu anhu) ke paas gaye tou unhu (muawiya radhi allahu anhu) ney un (masoor radhi allahu anhu) ki zarorat puri ki phir taqliye mein bula kar kahan: tumhara hukmarano par taan karna kya huwa? masoor ney kahan: ye chhorey aur achchaa sulook kare jo hum pehle baech chuke hai. muawiya ney kahan: nahi, Allah ki khasam! tumhe apne bareme batana padega aur tum mujh par jo tanqeed kartey ho. masoor ney kahan: maine unki tamaam qabil-e-aib baaten (ghaltiya) unhe bata di. muawiya ney kahan: koi bhi gunha se bari nahi hai. aye masoor! kya tumhe pata hai ke main ney awaam ki islah ki kitni koshis ki hai, ek neki ka ajr dus nekiyon ke barabar milega. ya tum gunha hi ginte rehte ho aur nekiya chhor deyte ho? masoor ney kahan: nahi, Allah ki khasam! hum tou inhi gunhaon ka zikr kartey hai jo hum dekhte hai. muawiya ney kahan: hum apne har gunha ko Allah ke saamney tasleem kartey hai. aye masoor! kya tumhare aise gunha hai jin ke bareme tumhe ye khauf hai ke aagar bakhseh na gaye tou tum halaak ho jaouge? masoor ney kahan: ji han. muawiya ney kahan: kis baat ney tumhe apne bareme bakshshis ka mustahiq bana diya hai aur mere bareme tum ye umeed nahi rakhte ho? Allah ki khasam! main tumse ziyada islah ki koshis kar raha hu lekin Allah ki khasam! do baaton mein sirf ek hi baat ko aqtiyaar karta hu. Allah aur gairullah ke darmiyaan sirf Allah hi ko chunta hu. main is deen par hu jis mein Allah aamal qubool farmata hai, wo nekiyon aur gunhaon ka badla deyta hai siwaye iske ke wo jise maaf kar dey. main har neki ke badley ye umeed rakhta hu ke Allah mujhe kayi guna ajr aata farmayega. main in azeem umoor ka saamna kar raha hu jinhe main aur tum gin nahi saktey. maine aqamatis salaat ka nizaam, jihaad fee sabilillah aur Allah ke nazil karda ahkamaat ka nizaam qayim kar rakkha hai aur aise bhi kaam hai aagar main tumhe wo bata don tou tum inhe shumaar nahi kar saktey, is bareme gaour wa fikr karo.
masoor (radhi allahu anhu) farmate hai ke main jaan gaya ke muawiya (radhi allahu anhu) mujh par is guftagu mein ghalib ho gaye. urwa bin zubair farmate hai ke iske baad kabhi nahi suna gaya ke masoor (radhi allahu anhu) ney muawiya (radhi allahu anhu) ki kabhi mazammat ki ho. wo tou unke liye dua-e-maghfirat hi kiya kartey thhey.
>tareeq-e-bagdaad jild 1 safa 208,209 ta 47 wa sanad sahih.

imam jaffar sadiq ney:
(قاسم محمد بن قال قال معاوية بن أبي سفيان)
ki sanad se ek hadees bayaan ki hai jis mein aaya hai ke qasim bin muhammad (bin abi bakr) ney farmaya:
(فتعجب الناس من صدق معاوية)
bas lougon ko muawiya (radhi allahu anhu) ki sachchayi par bada tajub huwa.
>tareeq-e-damishq 115/62 wa sanad hasan.

is riwayat se maloom huwa ke ameer muawiya (radhi allahu anhu) lougon ke nazdeek sachche thhey.

syedna abdullah bin abbas (radhi allahu anhu) ney farmaya:
(مارأيت رجلًا كان أخلق يعني للملك من معاوية)
maine muawiya se ziyada hukumat ke liye munasib (khulfa-e-rashedeen ke baad) koi nahi dekha.
>tareeq-e-damishq 121/62 wa sanad sahih, musannaf abdur razzak 453/11 hadees 20985.

arbaaz bin sariya aslami (radhi allahu anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
(اللهم علّم معاوية الكتاب و الحساب، وقه العذاب)
aye mere Allah! Muawiya ko kitaab wa hisaab sikha aur usey aazaab se bacha.
>musnad ahmed 127/4 hadees 17152, wa sanad hasan, sahih ibne kuzaima: 1938.
(حارث بن زياد و يونس بن سيف صدوقان لا ينزل حديشہما‌ عن درجۃ الحسن والجرح فيہما مردود)
ameer muawiya (radhi allahu anhu) satth (60 hijri) mein foot huwe.
sahaba akraam ke darmiyaan ijtehadi wujuh se jo jangge huwe un mein sukoot aqtiyaar karna chahiye.

imam ahle sunnat ahmed bin hanbal rahimahullah ney farmaya: jab tum kisi aise shaksh ko dekho jo Rasoolullah (ﷺ) ke sahaba ko bura kehta hai tou uske islam par tohmat lagao.
>manaqibe ahmed li ibne jauzi safa 160 wa sanad sahih, tareeq-e-damishq 144/62.

imam ma'aafiya bin imraan al mausuli rahimahullah (died 185 hijri) se ameer muawiya (radhi allahu anhu) ke bareme pouchaa gaya tou unhune farmaya: Rasoolullah (ﷺ) ke sahaba ke sath kisi ko bhi barabar qaraar nahi diya jaa sakta. muawiya (radhi allahu anhu) aap ke sahabi, ummul momineen umme habiba (radhi allahu anha) ke bhai, aap ke katib aur Allah ki wahee (likhne) ke ameen hai.
>tareeq-e-bagdaad 209/1 wa sanad sahih, al hadees: 19 safa 57, tareeq-e-damishq 143/62.

imam ahmed bin hanbal rahimahullah ney farmaya:
(من تنقص احداً من أصحاب رسول الله ﷺ فلا ينطوى إلا علٰى بلية، وله خبيئة سوء إذا قصد إلٰى خير الناس وهم أصحاب رسول الله ﷺ)
jo shaksh Rasoolullah (ﷺ) ke sahaba mein se kisi ek ki tanqees kare tou wo apne andar maseebat chupaye huwe hai. uske dil mein burayee hai jis ki wajhe se wo Rasoolullah (ﷺ) ke sahaba par hamla karta hai halanke wo (anbiya ke baad) lougon mein sab se behtareen thhey.
>al sunnatal lil khilaal 477/2 hadees 758 wa qalal muhaqqiq: isnaad sahih.

ibarheem bin maisarah at-tahakee rahimahullah se riwayat hai ke umar bin abdul aziz rahimahullah ney kisi insaan ko nahi maara siwaye ek insaan ko jisne muawiya (radhi allahu anhu) ko galiya di thi, unhune usey kayi kordey maarey.
>tareeq-e-damishq 145/62 wa sanad sahih. neez dekhiye mahana al hadees: 26 safa 27,28.

musnad baqee bin muqld mein ameer muawiya (radhi allahu anhu) ki bayaan karda ek sow tirsatt (163) hadeese maujood hai. dekhiye seerah alamul nabulah 162/3.

ameer muawiya (radhi allahu anhu) se jareer bin abdullah al jablee, as saib bin yazeed al kindee, abdullah bin abbas, muawiya bin hadij aur abu saeed al khudri wagaira sahaba akraam radhi allahu anhuma ajmayeen.
ab shasaah jabir bin yazeed, hasan basri, saeed bin musaeeb, saeed al maqbiri, aata bin aabi rabah, muhammad bin sereen, muhammad bin ali bin abi talib al maroof babin hanafiya, hamaam bin munbeh aur abu salma bin abdur rahman bin awaaf wagaira tabayeen rahimahullah ney riwayat bayaan ki hai.
>tehzeebul kamaal 201,202/18.

ahle sunnat wal jamaat ke nazdeek tamaam sahaba aadil (riwayat mein sachche) hai.
>iktesaar uloom ul hadees li ibne kaseer 498/2.

un ke darmiyaan jo ijtehadi aqtilafaat aur sangeen jangge huwi hai, un mein wo mazoor wa majoor hai aur humme is bareme mukammil sukoot aqtiyaar karna chahiye.

Aye Allah! Hummare Dilon Ko Tamaam Sahaba Ki Muhabbat Se Bhar Dey Aur Unki Tauheen Wa Tanqees Se Bacha. Aameen.

(رضي الله عنهم أجمعين)

[Al Hadees 29]

Taken From: Fazail-E-Sahaba Radhi Allahu Anhum (sahih riwayaat ki roushni mein).
By: Hafiz Sher Muhammad Hafidhullah.
Tehqeeq Wa Taqreej Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah. Page No. 125 130.